Wednesday, August 4, 2010


Kuchh dard abhi bhi baaki hai inn aankhon mai
Khaalipann ab bhi apna ehsaas dilaata hai,
Saans larkhara kar chalti hai kabhi kisi samay,
Dil siskiyon se kisi kone mai aaj bhi gungunaata hai.

Kuchh khaamoshi, kahin koi shor,
Aaj bhi door tak koi sunaaye deyti nahin
Ab bhi tanhaayee meree,
Apne hone kaa wajood bayaan karti hai

Kuchh kho to gayaa hai...
Jaise shayad kuchh tham sa gayaa hai...
Aaj fir sab kuchh anjaana,
Yeh baareesh bhi apni si ab lagti nahin.

Naa hi kabhi samajh sakaa,
Kuchh khwaab hote hain khwaab hi rehne ke liye
Sheeshe ke jaam jab tootte hain, unke aayine mai
Apni hi haar nazar aati hai.

Kab tak naa samjhoonga,
Kab fir se main apnaa ho paaunga
Kis more par meree raah fir muskuraayegi,
Kis raat ke chaand mai,
Yeh dil meraa fir se shor kareygaa?

Kuch aur nahin,
Aaj main khood ko maangta hoon,
Shayad ab yeh jindagi tabhi muskarayegi,
Jab main khood us Khuda ko maang loonga